Saturday, February 27, 2010

Bharat

Jaao tum na murh ke dekho
Har kadam ko pichhe feko
Barhte raho saamne ki or
Mushkilo se na banna kamzor
Chahe ho subah ya ho raat
Ho chahe garmi ya gehri barsaat
Raah pe apne chalte jaana zaroor
Logo se na karna nafrat ya guroor
Sab ko saath lekar barhte raho aage
Saath tumhare hogi saari duniya jaage
Sab ki duayein aur taklifo ko lekar
pyar aur ummeed ye dono unhe dekar
Pahuchna hai tumhe un sab ke paas
Saatth saal se hai jinko azaadi ki aas...

No comments:

Post a Comment